Main kisi aur ka hun,itna bta kr roya.
Wo mujay mehndi lge hath dikha kr roya
Mjhe anjam.e.mhbt nahi maloom tha hrgiz
Ye kaha or mjhe seeney se laga kr roya
Jo mjy zbt ki talkeen kia krta tha
Wo zmanay ko mra haal suna k roya
Ansu bn kr nikal na jaon kahin is dar se
Apne ashkon ko wo ankhon mn chupa kr roya
Wasal ka akhri lamha jo mussar tha hmen
Usi lamhy mn wo sadion ko sama kr roya,,,,!
0 comments:
Post a Comment